Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question maira question yeh hay k maira or mairi wife k darmian kuch batain hoi jo wife nay apni mother ko bata dain foran.. us ke mother nay foran ghar anay ko kaha or wo chali gaye.. ab wo talak ka mutalba kar rahay hain due to her azad khayali.... main daina nahi chahta. please help me main kia karun 
Answer Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: Oper biyaan ki gae shara,it e talaq main se aik ehem shart jo zikr ki gae hay k shohar apnay ikhtiyaar or marzi se talaq day lahaza koe zabardasti is se talaq dilwa bhi day tu talaq sahi nahi hogi.agar aap talaq daina nahi chahtay tu aap ko is baat ka huq hay k aap talaq nah dain.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.