Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question wazu men masah kis tarah kiya jay.  
Answer 1)Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho. 2)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah krna chahea is hissay mai jahan bhi aur jis andazay sai bhi masah karain kafi hai. agar cheh ehtiyat e mustahabb ye hai k lambai mai aik ungli k lag bhag aur chorai mai 3 milli hui unglioon k lag bhag jigha par masah kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 248-249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.