Answer |
1)Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona.
2)Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|