Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question assalamualikum,mai jab bhi namaj me khada hota hu man me ulti sidi baate aati hai kabhi kabhi toh yahi sochta hu .........allah ko ulta sidha bolta rehta hu par jab namaj khatam hoti hai toh bahut rona aata hai aur bura lagta hai ....aap meherbani karke mujhe isse bachne ka tariqa aur namaj me concentrate karne ka tariqa bata sakthe hai kya..... 
Answer Insan ko khayl rakhna chahea k namaz jaldi jaldi na perhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rehay aur khusho aur khuzoo aur waqar sai namaz perhay aur ye khayal rakhay k kis hasti sai kalam kar reha hai aur apnay aap ko khuda ki azmat aur buzrgi k moqablay mai haqeer aur na-cheez samjhay. Agar insan namaz k doran puri terh in batoo ki taraf motawajah rehay to wo apnay aap sai be-khabar ho jata hai jaisa k namaz ki halat mai Hazrat Ali a.s. k poun sai teer nikal lia gya aur imam a.s. ko khabr tk na hui. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, namaz k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.