Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqaii sistani 
Question Salam plz tell me Wht da meaning of tahiyah?its Quranic word? My daughter name is tahiyah batool Urdu may.kis taraha likhay gay tahiyah ko 
Answer Tahiyah(ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔ ) quran majeed mai 3 maqamaat mai akila istemal hua hai aur 3 maqamat par zameer(hum jo k pronoun hai) k sath istemal hua hai. jin 3 jigha par akila istemal hua hai os mai sai aik surah nissa, surah no 4 ki ayat no 86 mai zikr hua hai is k alawa surah noor, surah no 24 ki ayat no 61 mai bhi istemal hua hai aur surah furqan, surah no 25 ki ayat no 75 mai istemal hua hai. aur jahan par zameer k sath istemal hua hai un mai sai aik surah younus, surah no 10 ki ayat no 10 mai istemal hua hai aur surah Ibrahim, surah no 14 ki ayat no 23 aur aakhri mai surah ahzaab, surah no 33 ki ayat no 44 mai hua hai.(Ref : al mojum pg # 286) Aur tahiyat ka matlab salam aur salami hai aur is ki jama tahiyaat( ﺘﺤﯿﱠﺎﺖ ) hai jaisay ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔﺍﻠﻌﺴﻜﺮﻰ yani fouj ki salami.(Ref :al qamoos waheed pg no 401) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.