Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name salam 
Question Assalamo alaykum janab mere do sawal he 1) kya biwi ko shohar ki har baat manna chahiye k nahi or agar biwi shohar ki baat na mane to kya karein? 2) kya bina topi oehne namaz ho sakti he ya topi pehenna jaiz he? 
Answer 1a) Jis orat ka daimi(hmesha ka) nikah hojay usk liye haram hai k shohar ki ijazat k bagair ghar se bahir nikle, chahe iska nikalna shohar k haq k manafi na bhi ho. b) Bivi k liye zarori (wajib) hai k jab bhi shohar us se jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahiye to uski khwahish puri kare or shar’ee uzr (any Islamic reson,i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari se na roke. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376) c) Mard ko ye haq hasil nahi k biwi ko gharelo khidmat per majboor kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2378 ) 2) Mard k liye Namaz men topi pehanna wajib nahi hai or topi k beghair bhi namaz ho sakti hai. lekin orat k liye Zaruri hai k namaz men apna tmam badan hatta k sar or baal bhi dhanpe albatta chehra, kalai tak hath or takhno tak paoon (agr na_mehram na dekdh raha ho to) dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is orat ne badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhanpe lekin moze(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #776, 777) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.