Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqae sistani 
Question 1 agr namaz mai hatheli k neechay chadar ajae sida krte waqt to kia namaz durst h? 2 kia khums ki raqm mai kuch hisa uss waqeel ka bhi hota hai jo usse jama krta hai?agr aisa hai to islam mai is ki kia wajah hai? 3 kia aulad ko yeh haq hasil hai k apne maa baap k samne ksi baat pe debate kare kuin k quran mai to uff tk krne ki ijazat nhi h? 4 agr namaz k baad hath pe koi aisi cheez nazar ajae jo wazu mai rukawat hoti h to kia namaz dubara prhni hogi?  
Answer 1)Zarure hai k sajde me dono hatheliyan zameen per rakhe or ehteyat_e_wajib ki bina pr zarure hai k mumkina surat me puri hateliya zameen per rakhe. (Is sharait k sath agar hathele k neche chadar ajay to koi haraj nahi).(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1048) 2) Mujtahid ki taraf se ijazat namon me ye zikr kiya jata hai k fulaan mujtahid ka vakil(Alim_e_deen) jo shar`ee hoqooq wasool krta hai in me se maslan ek tahai 1/3, ya nisf ½ shar`ee tor per moqarrar mawarid(mqamat) me kharach kare or is ka matlab ye hai k mazkura moqarrara miqdar is vakil ki zaat k lye makhsoos nahi. is he tara agar ye he vakil kohe serhe khidmat sar anjaam de raha ho aur deen ki sarbolandi k lye kaam karaha ho to wo maal_e_imam (khums) me se apne amal aur deni khidmaat k mutabiq karaj karsakta hai.(Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 596 , pg # 291, eidition 5) 3)(a) Olad k aqide k mutabiq walden ki jo raay aur mo`akaf sahi nahe, is me in se bahas kar sakta hai. laikin bête k liye ye zarore farz banta hai k walden se bahas k doran adab or tehzeeb ka khayal rakhe aur inki taraf ghoor kar dhekhne se bhi ghurez kare, apne awaz ko walden ki awaz se ziyada buland na kare , tundo tez alfaz istamal krna to bilkul jaaiz nahi hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 347 , pg # 213, eidition 5) b)Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya rok tok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k lie in ki mukhalifat krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1387) 4)Agar koie shaks wazu karne k baad wazu k aaza per koi aysi cheez dekhe jo pani k badan tak pouchene me rukawat ho or ise ye maloom na ho k wazu k waqt ye cheez mojood the ya bad me peda hui to is ka wazu sahe hai.(Is bina per namaz bhi sahi hogi) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 296).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.