Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name AYTULLAH SESTANI SHB 
Question MAEN NY AIK LARKI SAY SHADI KY HY,,OS NY KALMA BHI YAAD KIA,QURAN BHI KUCH PARHA,LAKIN LARKI MUKAMAL TOOR PER MUSALMAN NHN HOI..MERY NIKAH KY WAQT OS NY KAHA THA KEH WO MUSALMAN HO GAI HY,MAGAR USA JA KER WO BADAL GAI,MAGAR MJY UMEED HY MAEN USY SHIA MUSLIM KER LOON GA MUKAMAL.KIA OS LARKI SY MERI NIKAH AB BAQI HY?? 
Answer Agr koi gher_muslim orat shahadaten (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to jb tk is khatoon se islam ki mukhalifat men koi baat ya koi kaam anjam na paye is per islam k ahkam nafiz hongen(yani use musalman samjha jayega). (Ref : Jadeed Fiqhi Masaail, Masla # 452 , pg # 249, eidition 5) Note : (Is bina pr agr us orat ne nikah se phele shadatain(yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi dede) to wo orat musalman hai or musalman orat se nikah karna jaiz hai. lekin agr usne nikah se shahadaten(kalma) (yane kise bhi zaban me Allah or Rasool ki gawahi) na di ho to chonke wo nikah k wqt musalman k hukm men nahi ayegi lehaza wo us wqt kafir shumar hogi or kafir se nikah krna musalman mrd k liye jaaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,before maslah #2328 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.