Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera sawal hai k olad k liye uski maa he sbkch hoti hai..magr jb maa ghalt rasty pe hoto olad ko kia krna chahye?? maa sy badzubani krni chahye usko rokny k liye ya phir sbkch daikh kr b ankhen bnd krlyni chaye.meri cuzn hai usk papa america me rehty hain maa yahen us k sth rehti hai.un k ghr ausraliya sy bnda aya hua haijo raat ushe k han rukta hai or wo dono sth nahaty hain jb k meri czn ki umer itni hai k uski apni b shadi hoskti hai or usny apni maa ko khud daikha hai sb krty hua..or ye daikhny k bd wo mar si gai hai.sbkch roknyki koshsish kr rai hai bdtamizi sy pyr sy but wolg usi py pabndiyan laga rahy hain usko aik ghulam sa bana kr rkhdiya hai to mera sawal itna hai k is situation me olad ko kia krna chahye sbkch daikh kr ankh bnd krly ya buri bn k sbkch roky.allah ne kia farmaya hai is sb k bary me plz rply me 
Answer Agr Amr_bil_maroof ki sharaait mukammil ho gai hon or olad pr wajib hogaya ho k wo walden k amal k nateeje men unko acchai ki trf bulaen or buraai se roken or isi tarh agr olad k aqeede k mutabiq walden ki amal or mo`aqaff sahi na ho to olad un se behs kr sakti hai lekin olad ka ye farz banta hai k walden se behs-o-mubahasa krte wqt adab or tehzeeb ka khayal rakhen or unki tarf ghoor kr bhi na dekhe, apni awaz ko walden ki awaz se ziyada buland na kren, lekin tando tez alfaz krna jaiz nahi hen. or agr apki cousin ka aysa kch krne k bad bhi agr unki walida is kam se baz na ayen to to kam se kam apki cousin itna kr sakti h k wo telephone pr apne walid ko is bat ki ittala deden take unki walida is gunah se kinara kashi ikhtiyar krlen.(Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b), Jadeed Fiqhi Masaail, 5th Eddition, Ques#346-347, Pg#212-213)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.