Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AOA,,muje ek hindu shadi-shuda ladki semuhabbat ho gyee hai aur mai un ke sath humbister v ho chuka hu,aur wo mere mna krne pr wo apne shouhar k sath v sex nh krte,,,to kya hmlog shadi kr skte h ek dusre k sath? plz i will wait for ur reply.KHUDA HAFIZ 
Answer Sab se pehli bat to ye hai k hindu jo isalm ki nigah men kafir gardane jate hen unki oraton se nikah krna jaiz nahi hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st Edition, maslah#2362) Dusri bat ya hai k wo orat ek shadi shuda orat hai or hmare mazhab k mutabiq agr ek kafir orat or mard k darmiyan apne hi mazhab k mutabiq ba-sharaait or sahi nikha waqe ho to wo bilkul sahi hai or wo apas men miyan biwi hi hen. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Maasail, 5th Edition, Maslah#413, Pg#237) Or jesa k apne btaya k ap k or us orat k drmiyan hmbistri waqe ho chuki hai to is hawale se wo orat ab agrche musalman ho bhi jaye tab bhi ap us se nikah nahi kr sakte q k wo ek shadi shuda orat hai or agr ek shadi shuda orat zina kre to_Ehtiyat-e-wajib ki bin pr_ wo us zina krne wale mard pr hmesha k liye hram hojati hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st Edition, maslah#2367) Toba kijay Parwardigar ne quran me wada kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta h or aiysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade pr amal na kare. Or gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : Email From sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.