Answer |
1) Imam ratib wo namaz perhane wala hota hai jo sahib masjid ho (yani jo kise masjid me rozana perhata ho)
(Ref : Ulwat_ul_wusqa, Aqai Sistani (d.b), Jild #2, Pg #274, Masla#19)
2) Imam jumma aur rozana ki wajib namaz perhane wale ki shrten ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamon ko anjam na deta ho or kise ka husne zahir he is ki alamat hai jab k is k bar_khilaaf baat ki khabr na ho.(Ref : Ayat Ullaha Sistani (d.b.), Tauzeeh_ul_Masaail, 31th Edition, Masla # 1434,720).(Khuda aap ki tofiqat men izafa farmaye)
|