Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Janab Ayatollah Seistani sahib. 
Question Salam. Maine aisa gunah kia hy k khud ko shia kehty huey sharam ati hy.lekin phir bhi mera maslaq (Al-Hamdo Lillah) Fiqa Jafferia hy. Main apna asal naam nhi btana chahta hoon. Umeed hy iss k ba wajood aap mery sawal ka jawab zroor anayet farmaein ge. Mera sawal ye hy k maine (age 26yrs) aik larki se (age 24yrs) zinna kya, aise k uska kawara pan nhi tora aur bura kam (anal sex) bhi kia. Phir main kisi waja se dosary city main chala aya. Kuch time phely maine aur uss larki ny bina kisi ki ijazat k aur bina kisi gawah k ALLAH aur RASOOL Pak (p.b.u.h) ko gawah maan k nikah ka khutba aur seeighay mobile phone per aik dosary ki raza-mandi se parhy jab k hamary waldain iss baat ki ijazat nhi dety k humari apais main shadi ho. Wo larki aur uss ki family zaat main achy hain jab k main aur meri family unn ki family se kam samjhi jati hy. Ab surat ye hy k maine uss larki se ya hum ne jo aik dosary se nikah kia hy kya ye nikah shia mazhub main jaiz aur halal hy aur kya hum iss nikah ko jari rakh sakty hain? Jab k hum dono aik dosary k sath rehna chahty hain. Kya hum main se koi aik iss nikah ko na maany ya humary ghar waly (jo hamari shadi k haq main nhi hain) is nikah ko manzoor na krain, iss surat main kya hukam aata hy? Agar ye nikah sahi nhi, tu hum kya phir se kisi bhi tarah se apny ghar waloon ko raza maand kr k nikah kr skty hain ya hamary milny ki koi surat nikal sakti hy? Humary masly ka solution bta dain, Insha ALLAH hum uss pe bharpor amal krain ge aur hamesha k leay aap k haq main dua krain ge. Aap se ye bhi iltaja hy k ab jab k hum ne aik dosary se maafi mangi thee aur apny ALLAH se bhi apni ghalti ki maafi maang rahy hain, tu aap bhi hamary leay dua krain k ALLAH RAB ul Izat hamary guna ko maaf farma dain. (ameen) 
Answer Nikah k sahi hone k liye larki k walid ki ijazat zaruri hai lehaza agr wo razi nahi hon to nikah jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42).Update on dated 05-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.