Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name pata nahi 
Question aslam o alikum sir main bohat tenshzn main ap koi hellp kar saktay hain main jab b wozu karta hun namaz k leyeh tu thori dair baad huwa nikal jati hai wuzo tot jata hai main kia karo es ka koi masla hal kar dain main jawab ka intazar karon ga plz plz plz  
Answer 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba huwa kharij hoti ho to ehtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay huwa kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.