Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question 1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai? 2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai? 3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai? 4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai? 5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai? 6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi.  
Answer bismehi taala, (1-2-3-4) = nafal namaze halate ikhteyar me beth kar padhi ja sakati hain, mustabah namaz rasta chalte huye or sawari ki halat me padhi ja sakati hain, or agar insan in dono halto me mustahab namaz padhe to zaroori nahi ke uska munh kible ki tarf ho (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 754, 769) (5) mustabab namazo me wazu sharte sehat he. (ref: tawzihul masail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 315 page # 78) (6) agar namaze juma me zaroori sharayet puri ho to wo namaze zohar se afazal he or zohar ki jageh le sakati he. agar koi mukallaf namaze juma padh le to zohar ke badale usi par ektefa kar sakata he. (ref: jadid masail Aqai Sistani (d.b.w.) masala # 27 page # 77) is masaale me mazeed maloomat ke liye aap www.sistani.com se ruju karen, ham bhi Insha Allah aap ka masala bhej denge. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.