Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talaq *janab ye susar ka no hai. 
Question janab mera ap se sawal ye hai k maine susral mian rehta tha. q k bohat se maslay thay susral or mere parents k.maine gussay ki halat main apni bv ko talaq di. saas ne mujhe mara or us ne apni beti ko talaq dene ko kaha.maine gussy ki halat kaha k main isay talaq deta hoon us waqt bv pas nahi thi or na hi maine ye alfaz arbi seegha k hisab se darust kahy.wife hamla thi 5th month tha aglay din maine court se teen talaq written likh kr bhej den.mujhe isk bad khuab main abi tak ishara ho raha hai k talaq nahi hui. ap batain kia talaq hui ya nahi.or sulah ki koi umeed mujhe nazar nahi a rahi waja mere parents hain ye chahatay thay k talaq ho.or mere liay dua karen. q k mere sath koi asaib b tha un dino jis ka abi ilaaj krwaya hai golra sharief se kisi ne bataya tha k mere sath koi asaib hai ye mujhe b pata tha but mera koi yaqeen nahi karta tha muje gaib ka ilm ho jata tha or jo kuch mere sath hua hai mujhe pata tha mujhe khuab main a jata tha is asaib k meri saas or wife ko b pata tha. mujhe os aseeb na tang kia tha jis ki waja se main ne gussy main us asaib se b lar raha tha or ye kam kia or wo main nahi wo asaib bola tha (k main nahi rakhta isko main nahi rakhta isko) q k main us waqt hosh main nahi tha or us waqt meri zaban se talaq k alfaz b sahi nahi niklay thay maine talaq ki bajaye yalaq kaha tha.janab mera ye sawal online na karen. or is # pe b bata den k talaq nahi hui. ap ki bohat meherbani ho gi is ka answer is no pe b bhej den.mere liay dua b kijiay ga. 
Answer Talaaq ki chand sharten hain jin ki pabandi na ki jaye to talaq nahi hoti. 1. Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima (intercourse) na kiya ho. 2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4. Talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar na hon, or wajib kamon per amal kerte hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki mojudgi men di jaye. 5. Zaruri hai k mard talaq apne ikhtiyar se de or agar use apni bivi ko talaq dene par majboor kia jaye tu talaq batil hai. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaza agar wo maslan mazaaq ya nashe ya ghusse ki halat men talaq day tu, Talaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat_Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.