Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam agar koi psyco patient ho aur jab bi koi mushkil aye to hr dafa manat mangne ka adi ho aur aisi manat mange ju uss ki bas me na hu ki pura karsaki buht koshish ki baad bi to is ki lie kia hukm hai. 
Answer Zarori hai k nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza kise aise shaks k mannat maana jise majboor kiya jaay ya jo jazbaat me aakar beghair irade k mannat mane to sahe nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2605 ) Insaan kise aise kaam ki nazar (mannat man) karsakta hai jise anjaam dena is k lye mumkin ho. lehaza jo shaks pedal karbala na jasakta ho agar wo nazar mane k waha tak pedal jaay gha to is ki nazar sahe nahi hai, agar nazar karte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz hojaay to is ka mannat mana batil hai.(jab mannat sahi na ho to us ko pura karna zarori nahi hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2610) Nazar me swwgha perhna zarore hai laikin seegha arbi me perhna zarore nahe balke kise bhi zabaan me parha jasakta hai maslan koi kehe k mera mareez seyatiyab ho gaya to allah k khatir mujh per lazim hai k me 10 rupee faqeer ko saqa do to is ki nazar (mannat) sahi hai. agr nazar(mannat) sahi ho aur mukallaf jaan boujh kar is per amal na kare to gunahgar hai.ise chahiye k 10 faqeero ko pet bhar kar khana khilaye ya unhe libaas phenaay aur agar in amaal ko baja na lasakta ho to zarore hai 3 din musalsal roze rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2604,2633 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.