Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani r.a 
Question Mera sawal ye hai k hamary fiqh mei aik shia larki apny wali ki ajazat k baghair shadi nhn krsakti. 1.agr koi shia larki apny baap ki ijazat k baghair ksi sunni larky sy shadi krti hai to kya uska nikah sahih nama jaey ga? jb k baap baad mei razi hogya ho? 2.aur us sy hony wali aulaad k baary mei kya hukm hai? 
Answer 1)-Nikah sahi nahi hoga kunke nikah mai shrt ye hai k kawari (virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka wali (Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nahi deden.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bin (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi). (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). 2)- ager larka o larki jahil hon is baat se ke nikha ke sahi hone ke liye larki ke wali ka izin o ijaazat zaroori hai to wo aulaad jo in se peda ho wo halaal shumaar hogi. or ager dono, larki ke wali ke izin o ijaazat ke hokum ko gaante hon or phir bhi is ki ijaazat ke bagair nikha karlain to nikha batil hai or is nikha main jo aulaad peda hogi wo walad ul zina shumaar hoge. or agr in dono men se (yani sawaal ke etbaar se shia larki or suni larka) ik jaanta ho masalan shia larki jaanti ho ke wali ki ijazat ke bageer nikha sahi nahi hai to wo aulaad is larki ke liye walad ul zina shumaar hogi or ager is ka shoohar shia ho or wo na jaanta ho to is ke liye halaal shumaar hogi or ager larka suni ho to ye aulaad is ke lye us hokum main aae gee jo is ke mazhab main hokum ho ga.(Ref: jaded fiqhi masail, masala # 439 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae). Shia larki ka suni larke se shadi karna jaiz nahi hai ager apne mazhab ke khilaaf mustaqbil main jane ka imkaan ho. (Ref: deen ke ehkaam, masala # 299).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.