Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AssLaM O AlIkum nikah kesy karty hai or is me kya sharait hoti hAi kitny gawah hony chaHiYe etc?? 
Answer Nikah ki sharaa`it men se chand zaruri sharten ye hen. 1. Ehtiyaat wajib ki bina per nikah arabi men parha jaye, 2. Mard or aurat ya un k wakeel jo k seegha e nikah parh rahe hoon wo Qasd-e-Insha rakhte hoon matlab agar khud nikah parh rahe hoon to ek dusre k miyan biwi banne ki niyat se ho, or agar un dono k wakeel nikah parh rahe hoon to un ki niyat ye ho k wo mard or orat jinhon ne unhen wakeel banaya hai ek dusre k miyan biwi ban jaen, 3. Jo shakhs nikah parh raha hai wo Aaqil ho or agar apna nikah khud parh raha ho to baligh hona bhi zaruri hai. 4. Mard or orat moyan hona chahiay, 5. Mard or orat shadi per razi hoon, or agar zahiri tor na-pasandeedgi ka izhaar karen or maloom ho k dil se razi hen to bhi nikah sahi hai, Or isi tarah larki apne wali(bap ya dada) ki ijazat se nikah kre, bagher ijazat k nikah nahi hosakta,Lekin nikah men gawahoon ka hona wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335-2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.