Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Grand Ayatollah Sistani Sb. 
Question Salam, Mufti sb sab sy pehly meri tarf sy app aur app ki pori team ko ajzana salam aur app ko iss mubarik kam pr mubarikbaad. thanks sir, Merry 2 ya 3 questions hyy plz ayatollah Sistani sb. ki roshni mein jawab dejee gaa thanks. Q.NO.1 Molana Sb. pehla sawal ye hy k mein ny parha hy k agar ak shakhs (male) kisi female sy shaddi (nikkah) sy pehly zina (hambistarri) kr ly too jab tak woo dono suchi tobba na karry un ka nikkah theak nahi hoo gaa. Mera question ye hy k agar ak male kisi female ko sirf 2 times kiss (bossa) karry lazzat k sath to kia unn ka nikkah hoo sakta hy ? ya agar woo tobba karna chahye too kia tobba k lye yehi kaffi hy k woo dobarra ye kam na karry ? ya kia ye hoo sakta hy k woo ak dinn tooba karry k ham ye kam dobarra nai karry gaay aur uss sy 3 ya 4 dinn baad kia woo nikkah kar sakty hy ? thanks Q.NO.2 Molana Sb. mein ny ye bhi parha hy k agar ak husband apni wife ko breast sucking kr raha hoo aur mounh mein dhood challa jaay to uss ko aetat e wajib ki bina pr peena nai chahye. Sir, agar woo mard kulli (thook) kr dy I mean agar woo dhoodh mounh sy bahir nikall dy to kia ye kaffi hy, theak hy ya kuch aur hukam hoo gaa ? aur kia woo dobarra phir sucking kr sakta hy ? ya woo kittni baar dhoodh koo thook (kulli) sakta hy ? thank sir, agar koi aur dhood ki jhagha koi aur ratoobat hoo joo mounh mein challi jaay too kia uss ka bhi yehi hukam hoo gaa masallan manni etc. Thanks a lot I am waitiing for your best response. Allah app ko jazaay e khair atta karry. Ameen. 
Answer 1. Faqat kiss kerne per chahe ek do mrtaba karen ya kae mertaba karen us per zina ka hukm to nahi aata matlab ye hai k unki shadi ho sakti hai agarchah wo shadi se pehle toba na bhi karen, lekin chonke shadi se pehle ek dusre k liye na-mehram thay is liay gunahgaar to honge is liye toba o istihghfar kerna zaruri hai, or toba k liay behter ye k insan is qadar khuda ki baargah me is qadr nadim ho k khud us insan ko yaqeen hojaye k khuda ne maaf kerdiya hoga, or baaz riwayat men ye bhi aya hai toba ki mana hai k insan jab toba karay us waqt is yaqeen k sath ho k ainda isi gunah ko nahi dohrayega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2364) 2. Ehtiyaat e wajib ki bin per biwi ka doodh peena jaiz nahi hay, is men peene se murad halk se neeche utaarna hai, phir chahe jitni baar bhi doodh moo men ajye hukm yehi rahega, isi tarah dusri ratoobt jese apne mani ki misaal di to chonke wo to najis hai or nijasat ka khana peena bhi haram hai or kahne peene se murad halaq se neeche utarna hai). (Ref:Email Recive From www.sistani.org site of Aqai Ssitani d.b). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.