Answer |
Aap ka nikah sahi nahi hai Q k aap k liay to wajib nahi hay k aap apne walden se pooch ker shadi karen, Q k mard k liay walden se poochna zaruri nahi hia, albatta kanwari larki k liay apne walid ya dada se pooche bagher nikah nahi ho sakta jo nikah apne kia hai call per, wo nikah nahi hua hai.
Or agar aap dono k walden razi bhi hojaen to bhi ap dono ka nikah us waqt tak nahi ho sakta jab tak aap khuda k huzoor istighfaar or toba nah kren. Toba or istighfar k baad aap dono us sorat men nikah ker sakte hen jab larki k walid ki ijazat ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-2346) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|