Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ali sistani 
Question Salam Kya Hum Imam e Zamana a.s. ka sadka nikal sakte hai? aaya AHlulbayt a.s. ke sadke me to eis Duniya ko khalk kiya gaya hai aur hum unke sadke me to jii rahe hai to kya hum unka sadka nikale jinka Muhafiz ALLAH swta hai? aur kya hum unki salamati ke liye Namaz pad sakte hai ya Durood Bhej sakte hai?  
Answer Jee haan bilkul Imam e zamana ka sadqa dia ja sakta he, is tarah to shukur kerne per bhi eyteraaz aa sakta hai k kese shukar karen jis zaban se karen ge wo bhi to ALLAH ki hi di hoe hai to phir shukur kerna to hamare liay mumkin hi nahi hai, lekin aisa nahi hai khuda ka hukum hai k shukur karen to apki nematoon men izafa ho jaey ga, isi tarah sadqe ka hukum bhi Allah deta hai or riwayaat men bhi hai Aimma Masoomeen a.s ne taqeed ki hay k sadqa dene ki. Or isi tarah IMAM E ZAMANA a.s k liay dua_e_salaamati or drood waghera ka hukm hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.