Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ahl e sunna 
Question i had been in saperation from about 17 months and now i got divorce fromthe court procedings(khula). what about my iddat. pl reply me soon 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki raushni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 2)Agar bivi apnay shohar se itni bayzaar ho jay keh bil-akhir apnay shohar k hoqooq ada kernay per qudrat nah rakh sakay or is baat per bhi raazi ho jay k apnay shohor ko khuch maal waghaira baksh day takeh wo osay talaq day ker azaad ker day laikin shohar is paishkash ko thukra raha ho or aurat ko talaaq nah day raha ho tab bhi haakim e shara(mujtahid) tak k liay talaq daina jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), mujtahid say pochay gay sawalaat part#2, Maslah#148 ) Note: jab aisi halat main haakim e shara(mujtahid) k liay talaq daina jaiz nahi hay tu adalat k liay talaq daina kaisay jaiz hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.