Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talaq 
Question janab meri bv hamla hai or meri saas mujse lari or main ne gussy main tallaq 3 se ziada martaba kaha q k muj pe aseeb hai or us waqt b mujhe hosh nahi tha han jahan tak mujhe yaad hai k mere mun se aik bar talaq nikla to saas ne mere mun pe hath rakh dia tha meri talaq ki niyat nahi thi q k main janta tha k meri bv hamla hai or hum theek reh rahay thay. bv ne mujse aik bat kahi k muje alaq rakho main ne kaha theek hai. jis waqt main ne talaq di mohallay wale b mojood thay jo ab keh ray hain k maine 15 bar talaq kaha tha. janab aseeb ki waja se main hosh main nahi tha or 1 talaq main manta o 2sri bar mere mun pe hath rakha sas ne wo talaq ka lafz mere mun se darust nahi nikla tha.us sy aglay din mere abu ne muje court le ja kar written3 talaq dilwa di jo k bv ko bhej di gai.ap jawab den jald se jald k main bv se ruju kesay kar sakta o ya nahi.mere walid jo k kai bar mujse bv ko talaq dilana chahaty thay unko moqa mila or unho ne faida uthaya ab wo bohat khush hain. ab bv b or main b q k bachay ka pata tha humain us ki khatir razi hona chahaty hain. answer den jald se jald q k abhi derh mah hua hai is talaq ko. 
Answer Ye talaq shi nhi hai q k Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,laihaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.