Answer |
1)Zaroori hai k musafir zohar, Asr aur isha ki namaz qasar baja laye yani 2 rakat parhay. Aur magrib ki 3 aur fajar ki 2 rakat namaz parhay. Yani zohar, Asr aur isha ki namaz ko doosri rakat par khatam kr dain.
2)Mustahabb hai k musafir har qasar namaz k baad 30 martaba “ ﺴﺒﺤﺎﻦﺍﷲﻮﺍﻠﺤﻤﺪﷲﻮﻻﺍﻠﻪﺍﻻﺍﷲﻮﺍﷲﺍﻜﺒﺮ ” kahay aur agarchah ye zikr har wajib namaz ki taqeeb mai mustahabb hai laikin is morid mai bohat ziada takeed ki gae hai bal k behtr hai k musafir in namazoo ki taqeeb mai yahi zikr 60 martaba parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|