Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani shaib 
Question agar aap ko aap k kam mai thorha bhoat joothe bolna pary to jub k is ka maqsat os ko nuksan dena nahai hai 
Answer Jhoot haram hai jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin agar tauriyah kia jae to koi haraj nhi hai yani alfaaz k zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 38) (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha Sistani (d.b.) masla # 2638). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.