Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name One sideded khula 
Question Assalamualikum warhamtullah he wabarakatuhu, Sir mera question ye ha k meree wife ny 2 years pehly kisi jhagry ki waja sy kaha tha k wo muj sy KHULA ly ly gee. os k bad hamari life normal rahee sirf phone per kion k main kuwait hota aur wo pakistan is lye hum nhi mil saky. aur jab main pakistan any laga to os ny kaha k os ny bohot baree galtee ke k oos ny khula ly lya ha 1year before aur court ny faisla os k haq main kya ha. is bat ka mujy bilkul nhi pata aur na hee meree wife k ghar walon ko. kuch baten wife ny wakeel k sath keen aur baqi waqeel ny jhotee baten bana kar onesided khula ly dia. mujy court ka koi letter nhi mila aur wakel ny galat address per letter bhijwa k faisla karwa dya ha. but meree wife ny kaha k gussy main galtee hoee but hum dono aisa nhi chahty hamary 2 bachy hain beta 7year aur betee 5year. please bata dain k kya khula ho gya? aur ab is ka hal kya ha? agar ghar walon sy koi bat karain to izzat ka bohot masla banta ha. please batain. 
Answer Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) Note: oper biyaan kiay gay fatway k mutabiq talaq batil hay.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.