Answer |
1-Zarori hai k khums 2 hison main taqseem kia jay. Us ka 1 hissa sadaat ka huq hai or zarori hai k Kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya ayse sayed ko diya jay jo safar main na-chaar ho gaya ho or dosra hissa Imam (a.s) ka hai jo zarori hai k maujoda zamaney main jaamiol shara,it mujtahid ko diya jaay ya aise kamon par jis ki wo mujtahid ijazat dey kharch kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1804 ).
2- Agar insan per kisi syed k ya aisi syedani k akhrajaat wajib hoon jo o ski bivi nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per woo s syd ya syedani k khoraak or poshak k akhrajaat or baqi wajib akhrajaat apnay khums se ada nahi kersakta.haan agar syed ya syedani ko khums(sehm e sadaat) ki khuch raqam is maqsad se day k wo wajib akhrajaat k alawa osay dosri zaroriyaat per kherch karain tu koe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|