Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talaq 
Question salam mulana sahib mere shohar na telephone per muji three times talaq di and us pehli intercouse bi kiya tha, ma na do dafa sunna jub ki third time telephone disconnect ho gaya, kaya ustara talaq ho jati ha please reply me 
Answer Talaq ki shri,at hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) Note: zirk kerda fatway k mutabiq aap ko talaq nahi hoe aap ab tak apnay shohar ki zaojiyat main hi hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.