Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam alaikum, Sir mera sawal ye hain ke main jab b peshap kar laitha hun tho kuch dair ke baad muje drops athe hain, is ke ilawa muje peshap b bohath jaldi jaldi athy hain, main tho haran ye hun ke main aap ne aap ko har ek ghalat cheez se dur rakka hain for exampl main sex vedio,pictures,larkio etc ko daiktha b nahi hun per b mere sath aisa hi hotha hain, main tho sirf ye chahtha hun ke main nimaz ache tareeky se ada karu our apne taleem ko jari rak saku. plz sir muje kuch aisa mashwara dy ke main is bemari se teek ho jaow Insallah 
Answer Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: aap sorah e zamar ki ayat#67 ko likh kar kamar se bandhain or zaafran se likh kar os ko pee lein. Insha allah ifaqah hoga. (Ref : Kitab Naway e Salaheen pg #329 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.