Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Imam seestani 
Question a.o.a plzzz mujhy btao dain k meri talak hui ya nae kb k nikah k seeghy pary he nae mn shia maslak sy hn par nikah suni maslak k mutabik hua par mn apny shohar sy khula chahti hn or wo fone py wakfy wakfy sy talaq bold chuka hy plzzzz mujhy jaldi ans btaye 
Answer Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335). Note: aap ka nikah durust nahi hay, laihaza agar aap k shohar nay aap se ha,bitari bhi ko tu wati bishshubah(yani bivi samjh hambistari kerna) k liay iddat rakhain.or is ki iddat ki muddat iddat e talaq k baraber hay.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah #565,567 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.