Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mujey mere shohar ne court k zzariye paper banwa kar talaq nama pe signature kar diye to kia meri law k lihas se talaq hogai hai? aur sharai tour pe bhi huie hai k nahi? 
Answer Ye talaq batil hai Q k tqlaq ki chand shrait hain, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay likhi hui talaq batil hai, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Is k alawa jab aurat ko talaq di jae to wo haiz ya nifas ki halat main a ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.