Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aytullah sistani 
Question salam mera sawal ye hai k agar kisi khatoon k do bete hon dono berozgaar hon aur woh khatoon ek retired teacher un ko jo paise government ki taraf se mile ho uske wo saving certificate daal deti hain jis se un k ghar ka guzara hota ho ek beta nafsiyati mareez ho aur woh kuch bhi na karta ho aur us ki ebiwi aur bachchi ka kharch bhi un khatoon per hai to un k liye kya hukm hai kya un k liye khums nikalna wajibb hai aur certificate ki raqm un k halal hai ya nahi aur agar haram hai to woh apna guzara kaise karien? 
Answer 1-Saal k tamaam akhrajaat se jo raqam baqi bachay os par khums wajib hoga.or certificate ki raqam bhi agar saal bhar istemaal nah ho tu os ka bhi khusm daina hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1722). 2) (i)-sarkari(Government) bankoon me is surat me raqam rakh saktay hain or profit lay sakhtay hain jab raqam raktay waqt profit ki shart nah ki gei ho tu is surat main profit lay saktay hain or is profit ka aadha hissa kisi deendar(shia) faqeer ko dena hoga tu aadah profit aap k liay halaal hoga. (ii)-Private bank me agar raqam rakhte waqt is faide ki shart na rakhi gye ho to usi lena jaiz he agar chah ye jante hoon k bank faida de ga. Isi terha kafir bank me bhi yahi hokum he balke is me agar shart bhi rakhi gye ho tab bhi faide ko hasil karna jaiz he (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 01 , ques # 113, pg # 62). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.