Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name shia 
Question MOULANA SAB NAMAZ EID OR NAMAZ JUMMA K BARAY MAIN BATAIN K GHAIBAT IMAM MAIN PARHNI CHAYEE ?  
Answer 1)Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497) 2)Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.