Answer |
bismehi taala, agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1364) |