Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name nikah 
Question helo sir mera name ali raza ha ma aik larki sa piyar karta hon thek wo larki arrai famliy sa taulq rakhti ha thek us ka maa baap nhi manta mery rishty k liy to ham na program banaya ha nikah karny ka adalat ki taraf sa wo larki pehly maan gai ha ab nhi manti nikah k liy plz aap khuch aisa batay k jo bhi bat ma usy kho wo meri bat many or wo nikah k liy tiyar ho jay plz khuch btao aap plz 
Answer 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi koun k gunah mai mubtilla hone ka khof majood hai. ( Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) Fiqhi maslay bayan karnay k sath aap ko wazifa bhi btaya jata hay k : Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.