Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam au alaikum mera sawal ramzan key rozey key barey main hai ke yahaan per hum log kabhi kabhi bohat mushkil main per jatey hain kei ah le sunnat key loug hamarey saath kam kertey hain un main saudi bhi hain aur maghrib key waqt apney aap ko chupana mumkin nahin rehta tou kia hum unkey saath roza iftaar ker saktey hain aur ager nahin tou dosri sorat main rozey chournain parein gey please jawab dain 
Answer w.s. waqt se pehle iftar karna jaiz nahi siwaye us soorat me k aap ko kisi khatre ya shadeed zarar ka khouf ho. aur agar shadeed zarar ya khatre ki wajeh se aapne roza waqt se pehle khol liya to is ki qaza karni padegi. aur agar agle sal k mahe ramzan k aane taq qaza n ki gaee to qaza k sath har roze ke ewaz fidya bhi dena hoga. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part:roza page 20 pub. bay Quran-o-Itrat Academy) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.