Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question A.O.A. Maulana sahab, mera aap se sawal yeh hai k, taqreeban 6 mahinay pehle, mene is larki seh muttah kia tha(kunwari), humnay tauzeeh parhi thi and us meh Father ya grand father ki ijazat ko nai paya tha and usi k bagair humnay muttah ker lia tha. Baad me, abhi mujhe pata chala hay k Father ya Grand Father ki ijazat zaruri hay Muttah k liyeh. Ab Muttah ka duration bhi khatam hogaya hay. Kia hamara Muttah Sahi tha(Q k hamain nai maloom tha)? Agar nahin tha, to abhi humein kia kerna chahyeh? and iski istigfaar kia hogi? 
Answer Agar aap ne tehqeeq kerli or aap ko pata nahi chala k larki k walid ki ijazat zaruri hoti hai to is surat men imkaan hai k ap gunahgar na hon, albtta jese hi apko ilm hojaye to aap k liay zaruri hai k us orat se juda hojaen, or orat k liay zaruri hai k 3 haiz tak intazar kare us k baad kisi se bhi nikah ker sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 567, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.