Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question meri aksr wahabio se behais hoti hai.us ne mujh se kaha k agar abobakar umar itne bure thay to ali(a.s) ne apne beto ka naam abobakar or umar q rakha plz jawab dijiey ga 
Answer bismehi taala, naam sare-hi b-zate khud achhe hi hote he isi liye har shakhs naam rakhte waqt us-ka intekhab karta he, baaz awqat hota yeh he k achhe nam rakhne wale logo ke aamal bure hote he jis ki wajeh se nam bhi bure lagane lagte he. Abubakr, Umar aur Usman nam k hamil achhe log bhi tarikh me guzare hain 1) Abu bakr ke nam ke ek sahabi the k jinhone khalifa-e-awal (abu bakr) ko khilafat gasb karne par toka tha (ref: kitabul yaqeen ibn jareer page no.108) 2) Umar bin salam ek sahabi the k jinka jange jamal se wapsi par ayesh se mukalema huva tha isi tarh ek aur sahabi umar bin malik bhi the. 3)usman bin mazoun ek buzurg sahabiye rasool s.a.w.w. the k jo hayate paygambar s.a.w.w. me hi wafat paye the aur aap s.a.w.w. ne un ki namaze janaza padhaee thi is k alawa usman bin hanif nam k ek sahabi the k jo Moula Ali a.s. ki khilafate zaheriya k zamane me aap a.s. ki tarf se basara k governor the k jinko talha aur zoober k basara par hamle k darmiyan be-dardi se shaheed kar diya gaya. mukhtasar yeh he k us zamane me yeh naam aam tor par rayej the aur yaqeenan Moula Ali a.s. ne in achhe sahabiyo ko madde nazar rakh kar hi apne farzando k nam rakhe the na k un logo ko madde nazar rakh kar jo dukhtare rasool s.a.w.w.ka ghar jalane aye the. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.