Answer |
bismehi taala, Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain. jab parvadigar aalam ne apni, apne rasool (s.a.a.w.) ki aur apne wali Imam Ali (s.a.) ki hi itaat wajib ki ho to phir kisi aur ki itaat ki zaroorat hi nahi he. |