Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question agar husband aur wife ki larayi ho aur husband kahe ke mey Allah aur us ke Rasool ke kasam kha ker kehta hoon ke mey tumhey rakhna hi nahi chahta per rakhne per majboor hoon aur biwi es baat ko shiddat se apni insult feel kare aur jawaban gair iradi taur per kahe ke mey bhi quran ki kasam khati hoon mey 90% tumhare sath majboori se rah rahi hoon aur bad mey foran biwi ko ehsas ho us ne galat kia aur woh sari raat rote howe astaghfar parhe. pls batain ke dono ke liye islam ke kia ihkam hain 
Answer Agr ap dono ne jo kuc kaha k sach kaha hai to ap dono ka ye qasam khana makrroh tha lekin agr ap dono ne jo kuch kaha jhoot kaha tha to ye qasam khana haram hai, is ka istighafar or Allah se maafi talab krna hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.