Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera jis larki se nikha howa hai wo mujh se phele kisi aur larke ke sath atach thi lekin us larke ka family background theek nahi tha iss liye rishte se inkar kar deya tha aur phir larki ke walidan ne us ka nikha mere sath kar deya tha iss nikha ko 8 maah ho gaye hain lekin rukhsati abi nahi hoi hai nikha ke wqat larki ne bakeda gowahon ki mojodgi main zuban se 3 baar iqrar bhi keya hai aur nikha name par sagnature bhi kiye hain iss doran larki par koi zabardasti nahi ki gi thi nikha se phele larki ke walidan ne larki ko samjhaya tha ke jis larke se tum shadi karna chahti ho wo larka aur us ki family theek nahi hai . ab masla yeh hai ke larki khod apne ghir se bhaag kar us larke ke pass chali gi hai aur cort main ja kar yeh beyan deya hai mera nikha zabardasti howa hai ab wo kehti hai hum ne cort marige kar li hai to kiya iss tara se aurat ka nikha par nikha ho jata hai jab ke husband ne us ko talaq nahi de aur na larki ne khula mangi hai isslam main us cort marige ki keya hasiyat hai aur phele wala nikha qayam hai ya khatum go gaya hai mehbani farma kar tufseel se jowab dain . 
Answer Nikah ki chand shara,it hain k: 1. ehtiyat wajib he ke segha sahih arabi me parha jae. 2. ye ke mard aur orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat moiyan hon(maloom hon) 5.mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379)note : Agar in shariat par jo upper zikr ki gae hain pehla nikah ho gya tha to phir ye aurat doosra nikah nahi kar sakti hai aur q k ye aurat pehlay sai sohardar thi is lie bagair talaq k doosra nikah jaiz nahi hai aur zaroori hai k doosray mard sai juda ho jae aur bad mai bhi os sai shadi nahi karni chahaey. Aur fiqah e jaffaria mai court k nikah ki koi ahmiat nahi hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.