Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Hazrat Zain-ul-Abideen(a.s) nay namaz-e-juma parhne walay ko malamat ki hai. Bcoz ye haq IMAM ka hai .. and I have never seen Hazrat Sistani or Hazrat Khamanie k wo Juma ki namaz parhye ho. What is the reason then ? 
Answer bismehi taala, masoomeen alhemus salam ki janib se ham par kya zimmedari ayed hui he is ka tayyun sab se ziyad ilam rakhne wala jameush shrayet mujtheed hi kar sakate he, aur wo ham se yaqeenan seerate masoomeen alhemus salam se ziyada waqif he, jahan taq marajeen ki namaze juma ka talluq he to aap iran k televisions par Aytullah Khamenei ki namaze juma ko mushaheda kar sakte he. namaze juma k mutalliq Aytullah Seestani farmate hain: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.