Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalam-u-Alaikum, Sir main yahaan apna aik masla likh rahi hoon jis ke liye aap ka mashwara chahti hoon Quran aur Ahadees ki roshni main. meri bari behan ki shadi 21 June/2008 ko hoi thi, hum ne shadi jahan ki wo log kafi mazhabi the un ke gher main tv bhi nahi dekha jata tha, sub log bajamt nazaz ada karte the aur gher ki khawateen bhi baparda thin, meri behan ki shadi ke ley hum log bohat preshan rehe the un ka rishta lgta tha aur phir khatum ho jata tha, in logon ko meri behan bohat pasand aai aur un logo ne rishta dal dia hum un logon se bohat impress the ka kafi mazhabi log hain hamari behan ko bohat kush rakkhain ge is liye apni behan ki marzi jan kar hum ne shadi ke liye haan kardi, meri behan parda nahi karti thi aur tv bohat shoq se dekhti thi, magar shadi se pehle hi us ne parda karna shoroo kar dia aur shadi ke bad tv dekhna bhi chor dia. masla ye he ke hum ne jin logon ko bohat mazhabi samajh kar shadi ki thi un logon ne meri ehan ke saath bohat ziyatti ki, hamain bataya gaya tha ke zubuari bhai (mere behnoi) ki mahana aamdani 15000 hain, lekin shadi ke bad meri behan ko sift Rs.500 diye jate the mahine ke, is ke bad agar meri behen ki koi aur zaroorat he to unhain us se koi garaz nahi hota, gher ke kam ki bari lagai gai (meri behen ki do nandain gher shadi shuda hain) gher ke kamoon ko thinoo main bant dia gaya, is doran agar meri behan ko meke aana he ya us ki tabyat kharab he to bhi us ko apni bari ka kam karna parta tha, nanadian choti hone ke bawajood her bat per tokti thin, meri behan ko agar kuch chahiye ya agar kahin jana he to zubair bhai pehle apni ammi se pochte hain aur agar wo ijazat de dain to theek wara meri behan ko mana kar dete hain, gher ke sub hi log inteha se zada jooh bolte hain, pehle jab meri behan ne bataya to hum ne her bat per yaqeen nahi kia tha magar bad main hum ko pata chala ge wo sub log sirf aik doosre ko favor karte hain, bete ammi ko bohat bat mante hain aur isi bat ke wo faida uthati hain, aap ko meri bat per gussa aa raha ho ga ke main aik bari umer ki aurat jo ke meri maa ke baraber hain un ke liye aisi bat kar rahi hoon, magar yaqeen janiye main yahan sirf sachaai bayan kar rahi hoon. shadi ke 2 mahine tak jab meri behan ko aulad ki koi kushkhabri nahi mili to us ne doctor se rojoo karna chaha, us ne apni saas se kaha, saas pehle to talti rahin phir aik doctor ke paas le gain, us doctor ne ultrasound bataya magar un ki saas ne ultrasound nahi karwaya jab kafi din ho gai to meri ammi ne un ki saas se kaha to kehne lagin ke haan ab karwaoon gi magar phir kafi din nikal gae, main ne apni ammi se kaha ke ammi jab behan hamare gher aay gi to hum ultrasound kar wa lain ge aur un ke susral waloon ko nahi batain ge, jab behen gher aai to hum ne aik doctor ko dikhaya aur ultrasound karwalia jis main pata chala ke mei behen ke rasoli he, doctor ne kaha ke rasoli bohat choti he aur dawai se khatum ho jae gi, to hum ne zubair bahi ko bata dia ke hum ne doctor ko dikha kar ultrasound karwalia he magar rasoli wali bat nahi batai zubair bhai ne kaha ke ammi ko bhi bata dain ke aap ne ultrasound karwa lia he aur hamri ammi ne aanti ko bata dia, dawai pori hone par bhi koi faida nahi hoa aur doctor ne dawai badal di hum ne behen ke susral waloon se kaha tha ke sojan he aur us ka ilaj ho raha he, behen ki aik nand islamabad main rehti he, behen ko jab doctor ko dikhana hota tha to wo hamre gher aajati thi, us dafa us ne doctor ko dikhana tha to us ki nand islamabad se aa gai us ki DMC hoi thi, behen nand ke aane se pehle hi aagai take doctor ko dikha kar jaldi gher wapas ja seke aur nand se bhi mil le, jab behen hamare gher aai hoi thi to zubair bhai ka phone aaya (meri behen zubai bhai aur apni saas se ijazat le kar aai thi) ke hum ne ijazat de di thi magar tum ko nahi jana chahiye tha meri behn islamabad se aai he, meri behan ne kaha ke main bata kar aai hoon agar koi mujh se kehta ke wo mujhe doctor ke haan le jae ga to main nahi aati, to zubai bhai ne kha ke ab koi gher main tumhare mamle main nahi bole ga us per meri behan rone lagi (yaahan aur bhi bohat sari batain hain jo main nahi likh saki) doosre din zubair bahi ne meri behen ko phone kar ke sorry bola to bat khatam ho gai. doosri bar jab doctor ke haan jana tha to behen ki saas ne kaha ke mere saath chalna, jab behen saas ke saath gai to us din doctor ne kaha ke tum ko dmc karwani pare gi, meri behan dmc karwane ke liye razi thi magar us ki saas ne mana kar dia ke main pehle apni doctor ko dikhaoon gi, gher main sub log chupke cupke batin karne lage jaise meri behen ne koi gunha kar dia ho, khair 15 days ke bad un ki saas doctor ke paas le kar gai, to us doctor ne kaha ke DMC main risk he is liye tum 1 - 2 mahine dekh lo ye khud khatam ho jae gi, (rasoli kabhi bhi kud khatam nahi hoti balke us ka size bar hota jata he aur jar pakar lete he) pata nahi doctor ne aisi bat kun ki, lekin saas ne to us se bhi zada galat bat ki unhone ne ammi se kaha ke doctor ne bola he ke aik saal tak intaizar karo ye kud khatam ho jai gi, aur un ka ravia meri behen se bohat kharab ho gaya, meri ammi ne behan ki saas se kaha ke aap kisi aur doctor se mashwara kar lain main bhi kar loon gi to wo aik dam bharak gain aur bolin ke aap kahain nahi dikhao ki saas nandoon ki bhi koi aihmiat hoti he aur ab main kud dikhaoon gi, meri behan ab wahan rehne ko tayyar nahi thi, meri ammi ne zubair bhai ko phone kia aur ye sari bath un ko batai aur kha ke meri beti ap wahan rehna nahi chahti main us ko lene aa rahi hoon, to zubai bhai ne kaha ke main bat karta hoon to ammi ne kaha ke tum bat kar lo agar tum dono miyan bivi ka masla aapas main hal ho jata he to mujhe koi aitraz nahi, magar zubai bhai ne meri behen ko phone karne ke bajae apni behen ko phone kia aur phir meri ammi ko phone kar ke bole ke ammi main try kia tha magar number laga nahi meri ammi se bat hoi he aur meri behen ki boraiyan ginwane lage, meri ammi ne kaha ke theek he main beti ko lene aa rahi hoon, itni der main mera bhai kam se wapas aa gaya aur us ne jab ye sab suna to gusse main behen ko lene pohanch gaya aur apne saath le aaya, piche se meri behen ki saas se meri ammi ko phone kar ke kaha ke tumhari beti apni merzi gai he magar ab meri merzi se aay gi aur ye keh kar phone band kar dia, ab meri behen 2 mahine se maike main he, meri behen jab maike aai to doosre hi din us se apne mamoon susar ko phone kar ke sari bat batadi aur kaha ke ab main sab ke samne bat karoon gi aur Quran Shareef per haat rakh kar bataoon gi, magar unhoon ne bhi koi action nahi lia, 1 mahine tak jab wahan se koi phone nahi aaya to hum ne bahane se phone kia ke hum ko hamari behen ka kuch saman chahiya, tab wo log bat karne ki bath karne lage, hum to chah rahe the ke bat ho jae hum razi ho gai, magar jab un ko pata chala ke hum ko bus behen ke kuch kapre wagaira lene hain to un loogon ne behen ki mami saas se phone karwaya behen ki mami saas ne phone per meri behen ko bohat bhala bura kaha aur boli ke tum faisla le lo, aur yahan saman lene mat aana warna hum darwaza nahi kholain ge, mere bhai ne behen ke maoon susar ko phone kar ke kaha ke hum saman lene aa rahe hain aap ko jo karna he kar lo, khair bohat lamba ho gaya he inshort ye ke tub se ab tak bus ye hi ho raha he ke wo log phone kar ke meri behen ko dhamkiyan dete hain ke zubair rehna nahi chahta agar wapas aana he to zubair ko phone kar ke keh do ke main aap ke saath rehna chahti hoon au koi bat mat karna aur sub kuch waise hi rahe ga jaise he hum log nahi badlain ge. aur wo log sub ke samne bat karne aur Quran shareef per haat rakhne se mana kar rahe hain, zubair bhai kehte hain ke phone per bath karloon ga sub ke samne bat nahi karoon ga. ab meri behen ke saath aik to rasoli ka masla he jis ko hum zubair bhai ki ijazat ke bagair opereate nahi karwa sakte aur agar khamoosh ho kar bethte hain to meri behen ki zindagi ka sawal he agar rasoli bari ho gai aur us ne jar pakar li to kya ho ga hamari kuch samajh nahi aa rah ke kya karin, barahe meherbani hamain koi mashwara dain aur apna koi contact no. bhi bata dain. Allah Hafiz  
Answer bismehi taala, aap apne masale ka hal sure nisa ki ayat 35 k mutabiq talash kar sakte he k jis me parvardigar aalam ne tariqa bayan kiya he k dono families me se ek-ek (samajdar mard) fard ko moyyan kiya jae jo is masalle ka hal nikale, agar dono ka irada islah ka hoga to yaqeenan paravardigar dono me muwafeqat payda kar dega chunke Allah Aleem bhi he aur Khabir bhi. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.