Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Question Assalam-u-alaikum Mera Saval ye hy k Quran mein kahein per hath khol kr nemaz parhnay ka bayan aya hy ya nahi.  
Answer w.s. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae. Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.