Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name seestani sab 
Question slam janab ma nay suna hai k jab zilhaj ka chand nazar ajay to jo shakhs qurbani ka irada rakhta ho jab tak qurbani na ker day apnay ball aur nakhun nahi katwa sakta compleat jawab dain shukria 
Answer Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai siway os shakhs k jisay khof ho lihaza is k lie ahwat ye hai k qurbani k janwar k hosool k baad anjam dai ahwat e awla ye hai k zibah aur nehar k baad anjam dai albetta eid e qurban k din k waqt sai aagay takheer na ki jae agar rima sai pehlay ya qurbani ka janwar hasil karnay sai pehlay bhool kar ya masla na jannay ki wajah sai halaq ya taqseer anjam dai to kafi ho ga air dubara anjam dena zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.