Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name pir syed naseer ud deen naseer 
Question salam mufti sahib.mera aap se yeh swal hai k agar husband ghusey mein aakar apni wife ko yeh keh day k tum meri taraf se farigh ho tumhara mera koi rishta nahi hai tum meri bivi nahi ho tum mar gayi ho mere liye.to kia yeh sub kehne se mian bivi ka rishta toot jata hai mean k divorce hojati hai?halan k niyat na ho yeh sub kehne ki sirf ghusey mein aakar aisa kaha ho.wasslam  
Answer Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.