Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqa e sastani 
Question aoa...plz mujhe ye bata dejiye k namaz me Mola Ali (a.s) ki shahadat dena jaiz hy?? mere uncle kehte hen k namaz me Mola Ali (a.s) ki shahadat dene se namaz batil ho jati hy kia is bat me kuch sadaqat hy??  
Answer Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa(moula ali(a.s) ki gawahe dena) perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.