Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Assalam o Alaikum.. Maira sawal ye hay k agar ahle sunnat k sath bajamat namaz parhnay key ilawa koi chara na ho tou kia aisay mahol me jahan shion key khilaf nafrat pai jaati ho..wahan namaz me hath bandh key bajamat namaz parhi ja sakti hay? aur Doosri rakat me qunoot chori ja sakti hay? 
Answer w.s. mubtelate namaz me se tisri cheez yeh he k insan apne hatho ko ajezi or adab ki niyyat se bandhe likin is kam ki wajah se namaz ka batil hona ahteyat ki bina par he aur agar mashrueeyyat ki niyyat se anjam de to is kam k haram hone me koi ishkal nahi he. agar koi shaks bhule se ya majboori se ya taqyye ki wajah se ya kisi aur kam masalan hath khujane aur ayse hi kisi kam k liye hath par hath rakh le to koi haraj nahi he. tamam wajib aur musthab namazo me dusrari rakaat me rukua se pahele qunut padhna musthab he (is liye is ko aam halat me bhi tark kiya ja sakta he) (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1138, 1139 & 1126) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.