Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question aoa, molana sahib meray paas kuch raqm aik saal say bank(current account) main rakhi hoe hai, aur hr maheenay main apni salary ka bara hissa us main add kr daita hn. us raqm pr zakat aur khums kis tarah apply hogi. plz reply in detail. aap ka buhat shukariya. iltimas-e-dua. 
Answer b.t.(1)Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. (2)Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.