Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question murdey key gusal ka taraika aur ghusl denay waly key liye ahkamat ? 
Answer Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha hai. 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me beri k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qurbat ki niyat rakhta ho. 4)Agar mayyat aur ghusl denay wala donoo mard hon ya donoo aurat hon to jaiz hai k sharamgah k alawa mayyat ka baqi badan berhana ho laikin behtr hai k libas k nichay sai ghusl dia jae. 5)Jo shakhs mayyat ko ghusl day zaroori hai k wo aql mand aur muslman ho aur ehtiyat ki bina par zaroori hai k wo isna ashri ho. Aur zaroori hai k wo ghusl k masail sai bhi waqif ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.